Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e8457551e36bcfbbcf26ed522f2a1612, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nind Ke Taaqub Mein - Chandrabhan Khayal Poetry In English - Darsaal

Nind Ke Taaqub Mein

nind ke taaqub mein

dur dur tak la-hasil

der se bhaTakta hun

nili aankhon wali

jangali billi

bar bar dum hilati hai

meri chaarpai ke niche

nim raushan lamp ke ird-gird

kiDon par jhapaTti chhipkali

be-KHabar hai apne ant se

kitna ghair-mutawaqqe hoga

mil jaana anant se

miTTi ke tel ki gandh

qulanchen bhar rahi hai kamre mein

be-lagam ghoDi ki tarah

chhat par

rengti hui KHamoshi

bar bar dohra rahi hai

papi nishacharon ka git

aur nind milon dur

kisi na-malum daraKHt ke patton mein chhupi

chiDiyon sa chahchaha rahi hai

mujhe bula rahi hai

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nind Ke Taaqub Mein In English By Famous Poet Chandrabhan Khayal. Nind Ke Taaqub Mein is written by Chandrabhan Khayal. Read famous Poem Nind Ke Taaqub Mein for youth and Student by Chandrabhan Khayal. Free Download Nind Ke Taaqub Mein in PDF.