LauT Chaliye
soKHta-jaan soKHta-dil
soKHta ruhon ke ghar mein
rakh gard-e-atishin sholon ke sae
naqsh hain diwaron par mafruq chehre
lauT chaliye apne sab arman le kar
jhuT hai guzra zamana
aur kisi ujDe qabile ki bhaTakti ruh shayad
apne mustaqbil ka dhundla sa tasawwur
bahr-e-gham ke darmiyan hai
ek kale koh ki manind ye imroz apna
koh jis par raqs karte hain sitam-KHurda tamannaon ke aaseb
lauT chaliye
apne sab arman le kar
sochiye to
yun abas aatish-kadon mein kyun jalen dil
kyun rahen har waqt sinon par chaTanen
dekhiye to
chand luqme kuchh kitaben
ek bistar ek aurat
aur kirae ka ye KHali tang kamra
aaj apni zist ka markaz hain lekin
tirgi ka gham inhen bhi kha raha hai
chaar jaanib zahr phaila ja raha hai
lauT chaliye
apne sab arman le kar
apne sab paiman le kar
jism le kar jaan le kar
(1025) Peoples Rate This