Jang
jang dharti pe sitaron ke liye jari hai
haif-sad-haif ki har shai pe junun tari hai
kya hamein apne makanon mein na rahne degi
bastiyan dur KHalaon mein basane ki lagan
jang-dar-jang sulagte hain sadaon ke badan
sabz raaton ke siyah KHun se tar hai daman
aasman aag nigalne pe hai majbur to phir
har disha barf ki manind pighal jaegi
zindagi hath se duniya ke nikal jaegi
sari tamir tabahi mein badal jaegi
koi to apni qabaon ko bana kar parcham
nara-e-amn hawaon ki jabin par likh de
(910) Peoples Rate This