Gum-shuda Aadmi Ka Intizar
lahu-nosh lamhon ke bedar sae
use gher lenge sinanen uThae
tamazat-zada shab zan-e-bakara si
simaT jaegi aur bhi apne tan mein
wo suraj ka sathi andheron ke ban mein
asasa liye fikr ka apne fan mein
shuaon ki suli pe zinda Tanga hai
na ab shahr mein koi itna hazin hai
ghazabnak tanhaiyon ko yaqin hai
ki us ke muqaddar mein wo KHud nahin hai
wo ek infiradi haqiqat ka hami
fasilon pe wahm-o-guman ki khaDa hai
shahr-zad shabnam se ye puchhta hai
ki suraj ke sine mein kya kya chhapa hai
magar sham ki surKH aankhon ne is par
hamesha sulagti hui rakh Dali
tah-e-atish-e-sruKH-ru wo sawali
ki jis ne hatheli pe sarson jama li
kisi dewta ki nigah-e-ghazab se
bana ajnabi apne aabaad ghar mein
kabhi is nagar mein kabhi us nagar mein
kabhi bas gaya sirf diwar-o-dar mein
wo ek shaKHs tanha ki jis ka abhi tak
safar hai musalsal na ghar mustaqil hai
faqat pas mein us ke masum dil hai
magar kis qadar muztarib muzmahil hai
jo shahr-e-ana mein khaDa sochta hai
kahan raat kaTe kahan din bitae
hatheli pe duniya ka naqsha banae
bhaTakta hai wo aaj bhi choT khae
are gum-shuda aadmi aa ke mil ja
are gum-shuda aadmi aa ke mil ja
(994) Peoples Rate This