Pahle To Uski Zat Ghazal Mein SameT Lun
pahle to us ki zat ghazal mein sameT lun
phir sari kaenat ghazal mein sameT lun
hote hain runuma jo zamane mein roz-o-shab
wo sare hadsat ghazal mein sameT lun
pahle to main ghazal mein kahun apne dil ki baat
phir sab ke dil ki baat ghazal mein sameT lun
koi KHayal zehn se bach kar na ja sake
sare tasawwuraat ghazal mein sameT lun
maqbul-e-bargah-e-risalat hon mere sher
sarmaya-e-najat ghazal mein sameT lun
'jauhar' wo baat jis ka talluq ho zist se
aisi har ek baat ghazal mein sameT lun
(939) Peoples Rate This