Hijab Ban Ke Wo Meri Nazar Mein Rahta Hai
hijab ban ke wo meri nazar mein rahta hai
mujhi se parda hai mere hi ghar mein rahta hai
kabhi kisi ka tajassus kabhi KHud apni talash
ajib dil hai hamesha safar mein rahta hai
jise KHayal se chhute hue bhi Darta hun
ek aisa husn bhi meri nazar mein rahta hai
jise kisi se koi wasta nahin hota
sukun ke sath wahi apne ghar mein rahta hai
jis ek lamhe se sadiyan badalti jati hain
wo ek lamha musalsal safar mein rahta hai
tamam shahr ko hai jis pe naz ai 'jauhar'
ek aisa shaKHs hamare nagar mein rahta hai
(940) Peoples Rate This