Jale Charagh Bujhane Ki Zid Nahin Karte
jale charagh bujhane ki zid nahin karte
ab aa gae ho to jaane ki zid nahin karte
kisi ki aankh mein aansu hamein pasand nahin
dilon ke zaKHm dikhane ki zid nahin karte
tumhaare nam ka bhi zikr ho na jae kahin
ghazal ke sher sunane ki zid nahin karte
hamare sae bhi raste mein chhoD jate hai
hamara sath nibhane ki zid nahin karte
KHala mein koi imarat kabhi nahin Tikti
wahan makan banane ki zid nahin karte
ye shahr-e-sang hai patthar ke log rahte hain
yahan pe phol khilane ki zid nahin karte
zamin jaisa kahin chand bhi na ho jae
zamin pe chand ko lane ki zid nahin karte
(1658) Peoples Rate This