Le UDa Rang Falak Jalwa-e-ranai Ka
le uDa rang falak jalwa-e-ranai ka
aks hai qaus-e-quzah mein teri angDai ka
is qadar naz hai kyun aap ko yaktai par
dusra nam hai ye bhi meri tanhai ka
ajab andaz se kuchh mohr-e-KHamoshi TuTi
wasf paida hua taswir mein goyai ka
khul raha hai teri rahmat ki badaulat warna
kaun tha dekhne wala gul-e-sahrai ka
ho gai mere gunahon ki siyahi maqbul
sang-e-aswad pe chaDha rang jabin-sai ka
surat-e-yas se aaina-e-hairat ho kar
dekhte rah gae chehra wo tamannai ka
be-KHudi dekh ke meri sar-e-mahfil puchha
nam mashhur hai 'kaifi' isi sahbai ka
(910) Peoples Rate This