Har Aarzu Mein Rang Hai Bagh-o-bahaar Ka
har aarzu mein rang hai bagh-o-bahaar ka
kanTa bhi ek phul hai us KHar-zar ka
kuchh is tarah se aao ki dil ko KHabar na ho
kuchh wasl mein bhi lutf rahe intizar ka
bu-e-wafa na DhunDhiye lala ke dagh mein
kya ye bhi koi dil hai kisi dil-figar ka
laghzish hui to panw pe saqi ke gir paDe
behoshiyon se kaam liya hoshiyar ka
sar-chashma-e-sarab fareb-e-majaz hai
kya e'tibar zindagi-e-mustaar ka
irfan ki raushni se kudurat chali gai
aaina ban gaya mere musht-e-ghubar ka
daur-e-shabab ki wo tarangen kahan gain
KHamyaza dekhta hai ye 'kaifi' KHumar ka
(840) Peoples Rate This