Dilkashi Nam Ko Bhi Aalam-e-imkan Mein Nahin

dilkashi nam ko bhi aalam-e-imkan mein nahin

apne matlab ka koi phul gulistan mein nahin

wada-e-wasl pe khinchta hua han ka lahja

ek andaz hai kahne ka tere han mein nahin

aap kahte hain ki taqdir ki gardish mein rahe

manta hun ki ye dil gesu-e-pechan mein nahin

bas kisi ka nahin sayyaad KHata kya teri

aab-o-dana meri qismat ka gulistan mein nahin

KHak hone se bana chashm-e-falak ka surma

KHaksari jo nahin KHak bhi insan mein nahin

naqsh-e-tauhid hai har naqsh-e-jabin-e-sajda

kahin kabe ka to patthar dar-e-jaanan mein nahin

pahle hi lauT tha parwana teri mahfil par

ab ye sunte hain ki bulbul bhi gulistan mein nahin

pak-bazi ki taraf jab se jhuke hain 'kaifi'

baada-noshi ka maza mahfil-e-rindan mein nahin

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dilkashi Nam Ko Bhi Aalam-e-imkan Mein Nahin In English By Famous Poet Chandar Bhan Kaifi Delhwi. Dilkashi Nam Ko Bhi Aalam-e-imkan Mein Nahin is written by Chandar Bhan Kaifi Delhwi. Read famous Poem Dilkashi Nam Ko Bhi Aalam-e-imkan Mein Nahin for youth and Student by Chandar Bhan Kaifi Delhwi. Free Download Dilkashi Nam Ko Bhi Aalam-e-imkan Mein Nahin in PDF.