Daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana Ek Hai
daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana ek hai
paimane do hain gardish-e-paimana ek hai
pita hun ghunT ghunT mein sanson ke sath sath
saqi ka aur umr ka paimana ek hai
jis ashk mein ho ashk-e-nadamat wahi hai ashk
moti bahut hain gauhar-e-yak-dana ek hai
kasrat ki shan aur hai wahdat ka rang aur
aabaad hai jo ek to virana ek hai
tafriq husn-e-sham-o-gul mein zara nahin
soz-o-gudaz-e-bulbul-o-parwana ek hai
jab sun liya firaq ka qissa to kah diya
majnun ka aur aap ka afsana ek hai
tum ko agar hai apni dil-araiyon pe naz
'kaifi' bhi apne nam ka mastana ek hai
(655) Peoples Rate This