Marsiya Gopal Krishn Gokhle
laraz raha tha watan jis KHayal ke Dar se
wo aaj KHun rulata hai dida-e-tar se
sada ye aati hai phal phul aur patthar se
zamin pe taj gira qaum-e-hind ke sar se
habib qaum ka duniya se yun rawana hua
zamin ulaT gai kya munqalib zamana hua
baDhi hui thi nahusat zawal-e-paiham ki
tere zuhur se taqdir qaum ki chamki
nigah-e-yas thi hindustan pe aalam ki
ajib shai thi magar raushni tere dam ki
tujhi ko mulk mein raushan dimagh samjhe the
tujhe gharib ke ghar ka charagh samjhe the
watan ko tu ne sanwara kis aab-o-tab ke sath
sahar ka nur baDhe jaise aaftab ke sath
chune rifah ke gul husn-e-intiKHab ke sath
shabab qaum ka chamka tere shabab ke sath
jo aaj nashw-o-numa ka naya zamana hai
ye inqalab teri umr ka fasana hai
raha mizaj mein sauda-e-qaum KHu ho kar
watan ka ishq raha dil ki aarzu ho kar
badan mein jaan rahi waqf-e-abru ho kar
ragon mein josh-e-mohabbat rahe lahu ho ho kar
KHuda ke hukm se jab aab-o-gil bana tera
kisi shahid ki miTTi se dil bana tera
watan ki jaan pe kya kya tabahiyan aain
umanD umanD ke jihaalat ki badliyan aain
charagh-e-amn bujhane ko aandhiyan aain
dilon mein aag lagane ko bijliyan aain
is intishaar mein jis nur ka sahaara tha
ufuq pe qaum ke wo ek hi sitara tha
hadis-e-qaum bani thi teri zaban ke liye
zaban mili thi mohabbat ki dastan ke liye
KHuda ne tujh ko payambar kiya yahan ke liye
ki tere hath mein naqus tha azan ke liye
watan ki KHak teri bargah-e-ala hai
hamein yahi nai masjid naya shiwala hai
gharib hind ne tanha nahin ye dagh saha
watan se dur bhi tufan ranj-o-gham ka uTha
habib kya hain harifon ne ye zaban se kaha
safir-e-qaum jigar-band-e-saltanat na raha
payam shah ne diya rasm-e-taziyat ke liye
ki tu sutun tha aiwan-e-saltanat ke liye
dilon mein naqsh hain ab tak teri zaban ke suKHan
hamari rah mein goya charagh hain raushan
faqir the jo tere dar ke KHadman-e-watan
unhen nasib kahan hoga ab tera daman
tere alam mein wo is tarah jaan khote hain
ki jaise bap se chhuT kar yatim rote hain
ajal ke dam mein aana hai yun to aalam ko
magar ye dil nahin tayyar tere matam ko
pahaD kahte hain duniya mein aise hi gham ko
miTa ke tujh ko ajal ne miTa diya hum ko
janaza hind ka dar se tere nikalta hai
suhag qaum ka teri chita mein jalta hai
rahega ranj zamane mein yaadgar tera
wo kaun dil hai ki jis mein nahin mazar tera
jo kal raqib tha hai aaj sogwar tera
KHuda ke samne hai mulk sharmsar tera
pali hai qaum tere saya-e-karam ke tale
hamein nasib thi jannat tere qadam ke tale
(1788) Peoples Rate This