Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_557d81596fdcf66fb94465ac8a7c5e27, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi Tha Naz Zamane Ko Apne Hind Pe Bhi - Chakbast Brij Narayan Poetry In English - Darsaal

Kabhi Tha Naz Zamane Ko Apne Hind Pe Bhi

kabhi tha naz zamane ko apne hind pe bhi

par ab uruj wo ilm-o-kamal-o-fan mein nahin

ragon mein KHun hai wahi dil wahi jigar hai wahi

wahi zaban hai magar wo asar suKHan mein nahin

wahi hai bazm wahi shama hai wahi fanus

fida-e-bazm wo parwane anjuman mein nahin

wahi hawa wahi koyal wahi papiha hai

wahi chaman hai pa wo baghban chaman mein nahin

ghurur-e-jehl ne hindostan ko luT liya

ba-juz nifaq ke ab KHak bhi watan mein nahin

(1034) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Tha Naz Zamane Ko Apne Hind Pe Bhi In English By Famous Poet Chakbast Brij Narayan. Kabhi Tha Naz Zamane Ko Apne Hind Pe Bhi is written by Chakbast Brij Narayan. Read famous Poem Kabhi Tha Naz Zamane Ko Apne Hind Pe Bhi for youth and Student by Chakbast Brij Narayan. Free Download Kabhi Tha Naz Zamane Ko Apne Hind Pe Bhi in PDF.