Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_215a482fb6efe478ab49dfa81927d5bf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Fana Ka Hosh Aana Zindagi Ka Dard-e-sar Jaana - Chakbast Brij Narayan Poetry In English - Darsaal

Fana Ka Hosh Aana Zindagi Ka Dard-e-sar Jaana

fana ka hosh aana zindagi ka dard-e-sar jaana

ajal kya hai KHumar-e-baada-e-hasti utar jaana

azizan-e-watan ko ghuncha o barg o samar jaana

KHuda ko baghban aur qaum ko hum ne shajar jaana

urus-e-jaan naya pairahan-e-hasti badalti hai

faqat tamhid aane ki hai duniya se guzar jaana

musibat mein bashar ke jauhar-e-mardana khulte hain

mubarak buz-dilon ko gardish-e-qismat se Dar jaana

wo tab-e-yas-parwar ne mujhe chashm-e-aqidat di

ki sham-e-gham ki tariki ko bhi nur-e-sahar jaana

bahut sauda raha waiz tujhe nar-e-jahannam ka

maza soz-e-mohabbat ka bhi kuchh ai be-KHabar jaana

karishma ye bhi hai ai be-KHabar iflas-e-qaumi ka

talash-e-rizq mein ahl-e-hunar ka dar-ba-dar jaana

ajal ki nind mein bhi KHwab-e-hasti gar nazar aaya

to phir bekar hai tang aa ke is duniya se mar jaana

wo sauda zindagi ka hai ki gham insan sahta hai

nahin to hai bahut aasan is jine se mar jaana

chaman-zar-e-mohabbbat mein usi ne baghbani ki

ki jis ne apni mehnat ko hi mehnat ka samar jaana

sidhaari manzil-e-hasti se kuchh be-e'tinai se

tan-e-KHaki ko shayad ruh ne gard-e-safar jaana

(1939) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fana Ka Hosh Aana Zindagi Ka Dard-e-sar Jaana In English By Famous Poet Chakbast Brij Narayan. Fana Ka Hosh Aana Zindagi Ka Dard-e-sar Jaana is written by Chakbast Brij Narayan. Read famous Poem Fana Ka Hosh Aana Zindagi Ka Dard-e-sar Jaana for youth and Student by Chakbast Brij Narayan. Free Download Fana Ka Hosh Aana Zindagi Ka Dard-e-sar Jaana in PDF.