Kachre Ka Dher
kandhe par qad se lambi bori laTkae
ek bachcha
kachre ke us Dher ki jaanib lapakta hai
jahan se
nak band kar ke guzarna bhi dushwar lagta hai
sham tak
ghalazat ke us pahaD se
wo badbu-dar
Dabbe botalen aur bosida kaghaz chunega
din Dhale
apni KHwari ki
sasti mazduri jab paega
ghar jate hue wo
KHushi ka rag gaega
magar
us ki nili shaffaf aankhon ka
siyah KHwab
taza kachre ka Dher
koi nahin sochega
us ki dudhiya jild ki tah mein
utarti zahrili mail
koi nahin dhoega
wo masum bachcha
kya hamein
kabhi nazar nahin aaega
(1519) Peoples Rate This