Dhol Wala
us ne ghurbat ke badan pe
basanti chola pili pagDi
aur sunahri jacket sajai hai
wo TuTi kursi pe
bosida Dhol se pair Tikae
udhDa waqt
sabr ke dhage se sita hai
saji-sanwari gaDi
pas se guzre to
aas aankh mein chamakti hai
us ki bhuk lapakti hai
apni KHushiyon ke aangan mein
Dhol ki thap par
us ke gham ko nachta dekh rahi hun
main soch rahi hun
us ki dukan ka mahnga sauda
kitne saste dam bika hai
(1380) Peoples Rate This