Mazdur
ek mazdur
ki jis ke badan ne
kai dinon ki an-thak riyazat
cement ret aur bajri ke bich kaTi thi
ek pyali chae ki talab
belche ki miTTi ke sath uchhaali thi
fikr-e-ayal ko
lohe ki reDhi pe
inTon ke sath dhakela tha
chand lamhe
sustane ki KHwahish ko
sabr ke hathauDe se kuT Dala tha
tab ja kar kahin
aaKHir kar
aaj apni dawat manani thi
ghar mein murghi pakani thi
magar chamakti kirola ki
damakti maKHluq ko kya KHabar
beach saDak mein
jis ka shaper phaTa tha
jo la-waris lash ki surat paDa tha
aaj us ne
apni dawat manani thi
ghar mein murghi pakani thi
(1137) Peoples Rate This