Ba-zahir Tujhse Milne Ka Koi Imkan Nahin Hai
ba-zahir tujh se milne ka koi imkan nahin hai
dilason se bahalta ye dil-e-nadan nahin hai
chaman mein lakh bhi barse agar abr-e-bahaaran
to naKHl-e-dil hara hone ka kuchh imkan nahin hai
hawa-e-waqt ne jis basti-e-dil ko ujaDa hai
use aabaad karna kaam kuchh aasan nahin hai
wo ek diwar hai hail hamare darmiyan jo
kisi rauzan ka us mein ab koi imkan nahin hai
agarche kha gai dimak ghamon ki baam-o-dar ko
magar TuTi abhi tak ye fasil-e-jaan nahin hai
tumhaari ruh 'bushra' qaid hai tan ke qafas mein
ise aazad karna moajaza aasan nahin hai
(1321) Peoples Rate This