Ye Shahr-e-na-rasai Hai
ye shahr-e-na-rasai hai
yahan dastur-e-goyai nahin hai
yahan lab kholna bhi jurm hai
yahan par jab kabhi aao
KHamoshi ka irada bandh kar aao
yahan gunge gharon ki
sari diwaron mein
aawazon ke jangal jagte hain
yahan aankhen nahin hotin
yahan dil bhi nahin hote
yahan bas ek hi chehra hai
baqi sare chehre us ki naqlen hain
sabhi chehron ke naqshe ek jaise hain
wahi raste wahi galiyan
wahi sadiyon ka chakkar ek jaisa hai
azal se daere ka ek safar
aur phir fana ka muKHtasar lamha
yahi meri kahani hai
yahi sab ki kahani hai
ye shahr-e-na-rasai hai
(1389) Peoples Rate This