Unhen DhunDo
unhen DhunDho safar ki sham se pahle
kisi anjam se pahle
unhen DhunDo
jo milne ki ghaDi mein
hum se bichhDe the
dilon se phuTte is gham se bichhDe the
jo aankhen KHushk rakhta hai
magar dahliz-e-jaan tak
paniyon ko chhoD jata hai
jo rasta dil ki galiyon se nikalta ho
usi raste ki har ek samt ko
wo moD jata hai
masarrat ki hari shaKHon ko aa kar toD jata hai
unhen DhunDo
udasi ki kitabon se
tamanna ke nisabon mein likhi
tahrir ke mafhum se
jis mein udasi ne
KHud apni bebasi ka bab likkha tha
shuur-e-zat ka
dhundla sa ek ehsas likkha tha
unhen DhunDo
judai ki gali mein
lauT aane ka sandesa chhoD kar
ruKHsat hue the jo
charaghon ne jinhen
is aaKHiri saat mein dekha tha
ki jab un ki lawen bujhne lagi thin
aur jab KHud mein mukammal ho rahe the
unhen DhunDo jo aankhon se
faqat ek KHwab ki
duri pe rahte hain
jinhen aankhen
hazaron sal ki furqat ko
oDhe DhunDti hain
hamesha jagti hain
(1110) Peoples Rate This