Panchhi Te Pardesi
parinde aur pardesi kabhi wapas nahin aate
jila-watnon ke panw ke tale
dharti baDi kamzor hoti hai
kabhi rasta nahin hota
kabhi saya nahin hota
shajar ki aarzuen dhup ke aansu bahati hain
magar barish nahin hoti
parinde aur pardesi kabhi wapas nahin aate
duaen gaThriyon mein bandh kar
chaukhaT pe baiThi
maon ke patthar wajudon par
kabhi miTTi nahin hoti
kabhi sabza nahin ugta
parinde aur pardesi
agar wapas kabhi aaen to
sare lok giton dastanon
aur miTTi mein amanat ki hui aankhon ko
apne sath le jaen!
(2910) Peoples Rate This