Be-ruKHi Ne Uski Kaisa Ye Ishaara Kar Diya

be-ruKHi ne us ki kaisa ye ishaara kar diya

waqt se pahle qayamat ka nazara kar diya

lakh kahne par bhi us ne ruKH pe rakkha tha naqab

ek jhalak ki aarzu ko nagawara kar diya

chal paDe daman jhaTak kar hum ko pichhe chhoD kar

tanha aaghaz-e-safar par kyun dobara kar diya

KHud hi lau ummid ki us ne jagai aur phir

toD kar ummid KHud hi be-kinara kar diya

kaisi bedardi se toDa us ne nata pyar ka

kyun jahan mein phir 'saba' ko be-sahaara kar diya

(1033) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-ruKHi Ne Uski Kaisa Ye Ishaara Kar Diya In English By Famous Poet Bubbles Hora Saba. Be-ruKHi Ne Uski Kaisa Ye Ishaara Kar Diya is written by Bubbles Hora Saba. Read famous Poem Be-ruKHi Ne Uski Kaisa Ye Ishaara Kar Diya for youth and Student by Bubbles Hora Saba. Free Download Be-ruKHi Ne Uski Kaisa Ye Ishaara Kar Diya in PDF.