Be-qarari Dil-e-muztar Ki BaDhai Humne

be-qarari dil-e-muztar ki baDhai hum ne

aaj phir tum se koi aas lagai hum ne

mushkilen rah-e-wafa mein bhi banain aasan

rasm-e-ulfat to ba-har-taur nibhai hum ne

shayad aa jao kisi rose kabhi lauT ke tum

bas usi aas mein har rah sajai hum ne

tum kabhi the na hamare na kabhi hoge sanam

ye samajhne mein bahut der lagai hum ne

hae dilkash wo adaen dil-awez nazar

jin mein uljhe rahe aur umr ganwai hum ne

koi shikwa na shikayat na gila hai tum se

apne hi hath se hasti bhi miTai hum ne

rahne wale hain 'saba' arsh-e-barin ke wo to

kahkashan phir bhi sar-e-farsh bichai hum ne

(1019) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-qarari Dil-e-muztar Ki BaDhai Humne In English By Famous Poet Bubbles Hora Saba. Be-qarari Dil-e-muztar Ki BaDhai Humne is written by Bubbles Hora Saba. Read famous Poem Be-qarari Dil-e-muztar Ki BaDhai Humne for youth and Student by Bubbles Hora Saba. Free Download Be-qarari Dil-e-muztar Ki BaDhai Humne in PDF.