Sulagti Ret Mein Ek Chehra Aab Sa Chamka

sulagti ret mein ek chehra aab sa chamka

udas aaankhon mein jine ka hausla chamka

andheri raat mein ye kis ka naqsh-e-pa chamka

musafiron ki nigahon mein rasta chamka

shab-e-firaq mein koi sitara TuTa to

hamari soch mein an-jaana waswasa chamka

faza mein phail gae kitne yaad ke jugnu

dayar-e-shauq mein jab koi rat-jaga chamka

udasiyon ke andhere Dara rahe the mujhe

ki hafize mein achanak tera kaha chamka

bikhar rahi hai KHayalon mein KHwab ki KHushbu

wajud ban ke kahan koi KHush-ada chamka

chhupae chhup na saka main to bhiD mein 'amabar'

na jaane kaise mujhi par wo daera chamka

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sulagti Ret Mein Ek Chehra Aab Sa Chamka In English By Famous Poet Brijesh Ambar. Sulagti Ret Mein Ek Chehra Aab Sa Chamka is written by Brijesh Ambar. Read famous Poem Sulagti Ret Mein Ek Chehra Aab Sa Chamka for youth and Student by Brijesh Ambar. Free Download Sulagti Ret Mein Ek Chehra Aab Sa Chamka in PDF.