Aasman Hai Samundar Pe Chhaya Hua
aasman hai samundar pe chhaya hua
is liye rang pani ka nila hua
waqt naddi ki manind bahta hua
ek lamha magar kyun hai Thahra hua
tha koi to jo dahliz par dhar gaya
raat jalti hui din dahakta hua
gum-shuda shahr mein DhunDhta hun kise
ek ek shakl ko yaad karta hua
dhup-jangal mein phir kho gaya hai koi
chand taron ko aawaz deta hua
dhup aur lu bhari thin fazaen magar
us ki yaadon ka mausam tha bhiga hua
surat-e-haal ambar ajab chiz hai
us ne dariya kaha main kinara hua
(930) Peoples Rate This