Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2adf05bbeabbb5f7ead83a1b30be2e3b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zau-bar Isi Samt Hue Shams-o-qamar Bhi - Brahma Nand Jalees Poetry In English - Darsaal

Zau-bar Isi Samt Hue Shams-o-qamar Bhi

zau-bar isi samt hue shams-o-qamar bhi

us shoKH ne phera ruKH-e-pur-nur jidhar bhi

miTti hai kahin dil se shab-e-gham ki siyahi

hoti hai kahin hijr ke maron ki sahar bhi

hain donon jahan ek hi tanwir ke partaw

hai ek hi jalwa jo idhar bhi hai udhar bhi

nikli thi tere jalwa-e-rangin ki KHabar ko

gum ho ke wahin rah gai kambaKHt nazar bhi

hoti hi nahin subh nikharta hi nahin nur

hai Dubi hui shab ki siyahi mein sahar bhi

kuchh un ki hasin yaad ki shamen thin farozan

kuchh nur-fishan dil mein raha dagh-e-jigar bhi

samjhen na 'jalis' aap hamein hech ki hum mein

hain aib hazaron to hazaron hain hunar bhi

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zau-bar Isi Samt Hue Shams-o-qamar Bhi In English By Famous Poet Brahma Nand Jalees. Zau-bar Isi Samt Hue Shams-o-qamar Bhi is written by Brahma Nand Jalees. Read famous Poem Zau-bar Isi Samt Hue Shams-o-qamar Bhi for youth and Student by Brahma Nand Jalees. Free Download Zau-bar Isi Samt Hue Shams-o-qamar Bhi in PDF.