Hoti Nahin Rasai-e-barq-e-tapan Kahan
hoti nahin rasai-e-barq-e-tapan kahan
ai ham-nashin banaiye ab aashiyan kahan
Thahre misal teri gul-e-arghawan kahan
ai mah-jabin zamin kahan aasman kahan
chhana kiya main KHak-e-do-alam tamam umr
apni talash le gai mujh ko kahan kahan
chhuTta hujum-e-gham se mera sath kis tarah
jata bichhaD ke mujh se mera karwan kahan
mahdud jin ki dair-o-haram tak thi justuju
hota nasib un ko tera aastan kahan
har manzil-e-hayat ki had par ho chuki
le jaegi ab aur ai umr-e-rawan kahan
sayyaad ne bhi mujh ko riha kar diya 'jalis'
qismat mein ab qafas bhi nahin aashiyan kahan
(772) Peoples Rate This