Ai Jalis Ab Ek Tumhin Mein Aadamiyat Ho To Ho
ai 'jalis' ab ek tumhin mein aadamiyat ho to ho
ibn-e-adam ho yahi jin-e-wirasat ho to ho
rah gai tanha ye ashk-afshan hamare haal par
gham-gusari apni bhi ek sham-e-turbat ho to ho
aatish-e-gham ne jala kar KHak kar Dala use
dil kahan sine mein ab ek dagh-e-hasrat ho to ho
karwan-e-zindagi ka lag raha hai chal chalao
har-nafas hum ko sada-e-kos-e-rehlat ho to ho
dard-mandon ka yahan koi nahin pursan-e-haal
ai ajal in bekason par teri rahmat ho to ho
gardish-e-dauran muKHalif hai na hai dushman falak
barsar-e-paikar mujh se meri qismat ho to ho
aadmi wo hai jise pas-e-mohabbat ho 'jalis'
aur ye shai aadmi mein aadamiyat ho to ho
(1027) Peoples Rate This