Jab KHizan Aai Chaman Mein Sab Dagha Dene Lage

jab KHizan aai chaman mein sab dagha dene lage

tinke uDa uD kar nasheman ka pata dene lage

jab meri gustaKHiyon ki wo saza dene lage

wasl ki shab lat-ghunsa bhi maza dene lage

manjh kar wo danton ko jab muskura dene lage

chhoTi moTi sainkaDon bijli gira dene lage

qatl karne ke bajae ye saza dene lage

khod kar gaDDha mujhe zinda daba dene lage

be-tahasha qabr par kisle baja dene lage

meri miTTi ko Thikane se laga dene lage

un ke ek thappaD se jab main dam chura kar paD gaya

aise ghabrae ki daman se hawa dene lage

aap to manga karen the mere marne ki dua

ab laga marne to jine ki dua dene lage

kaisa aashiq aap to mujh ko samajhte hain quli

har jagah hathon mein mere bistara dene lage

ho gaya majbur main bhi aur dil-e-nakaam bhi

wasl ki shab jab KHuda ka wasta dene lage

kam nahin hai torpedo se tere tir-e-nazar

chhed kar dil aag sine mein laga dene lage

mahramon se aap ke joban ka uqda khul gaya

aap ki uThti jawani ka pata dene lage

'bum' hona chahiye bazm-e-suKHan mein wo kalam

dost kya dushman sada-e-marhaba dene lage

(1287) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab KHizan Aai Chaman Mein Sab Dagha Dene Lage In English By Famous Poet Boom Merathi. Jab KHizan Aai Chaman Mein Sab Dagha Dene Lage is written by Boom Merathi. Read famous Poem Jab KHizan Aai Chaman Mein Sab Dagha Dene Lage for youth and Student by Boom Merathi. Free Download Jab KHizan Aai Chaman Mein Sab Dagha Dene Lage in PDF.