Is Qadar BaDh Gai Wahshat Tere Diwane Ki

is qadar baDh gai wahshat tere diwane ki

toD ke phenk din sab khuDDiyan paKHane ki

kosta aise hai mardud hamesha mujh ko

kabhi mangi na dua ghair ke mar jaane ki

khinch raha hai wo shab-e-wasl ka naqsha-e-dil mein

yaad hai hum ko adaen tere sharmane ki

jab se us shoKH ki zulfon ka liya hai bosa

baDh gai aur bhi wahshat dil-e-diwane ki

shaiKH sahab ne to puchha tha pata masjid ka

rah rindon ne bata di use maiKHane ki

aa gai ab to jawani hua bachpan ruKHsat

kya zarurat hai shab-e-wasl mein ghabrane ki

KHalwat-e-yar mein rahne ko jagah mil jae

na to kaba ki zarurat hai na but-KHane ki

dal-roTi ka baDa fikr tha ye bhi chhuTa

ho gai jab ki ye aadat hamein gham khane ki

kam-sini mein na agar ghair se ja kar milte

hum kabhi dekhte surat na shifa-KHane ki

jhuTi sachchi ki nahin fikr KHushi to ye hai

un ko aadat hai mere sar ki qasam khane ki

dil mein aata hai ki dushman ke lagaun jute

le gaya sala sleeper meri das-ane ki

munh kiya raat ko kala jo zabardasti se

kya zarurat thi tumhein ghair ke ghar jaane ki

apne marne ki KHabar yar ne jhuTi bheji

KHub tadbir nikali mere mar jaane ki

jab ye dekha ki nahate hain wo nange ho kar

khiDkiyan toD din sab main ne ghusul-KHane ki

donon ThanDak mein paDe rahte hain baham leTe

yaad bhi hai wo tumhein baat baraf-KHane ki

jab se aankhon pe paDa aks tere jalwe ka

hui us rose se aadat mujhe chundhiyane ki

ek din wo tha ki wo uD ke chala karte the

ek din ye hai ki aadat hui katrane ki

us ke dar ka na miyan 'bum' ne pichha chhoDa

inT-se-inT baja kar rahe tah-KHane ki

(1615) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Qadar BaDh Gai Wahshat Tere Diwane Ki In English By Famous Poet Boom Merathi. Is Qadar BaDh Gai Wahshat Tere Diwane Ki is written by Boom Merathi. Read famous Poem Is Qadar BaDh Gai Wahshat Tere Diwane Ki for youth and Student by Boom Merathi. Free Download Is Qadar BaDh Gai Wahshat Tere Diwane Ki in PDF.