Allah Allah Wasl Ki Shab Is Qadar Eajaz Hai
allah allah wasl ki shab is qadar eajaz hai
ek zara si chiz hai us par bhi itna naz hai
KHair ho yarab ke husn-o-ishq ka aaghaz hai
is taraf dil hai udhar susari nigah-e-naz hai
jab bahaar aai mue pinjre chaman ko uD gaya
is musibat par bhi itni quwwat-e-parwaz hai
chhuT gain nabzen hue lab band putli phir gain
aur wo mardud kahta hai ki ye dam-baz hai
ghair ne mujh ko sata kar jail ki khai hawa
ye na samjha tha ki us ka laTTh be-awaz hai
jab kaha us ne ki uTh be-jhaT main zinda ho gaya
baat ki to baat hai eajaz ka eajaz hai
toD kar badnam tum dil ko mere ho jaoge
is mein poshida mohabbat ka tumhaari raaz hai
ghair ko lae hain mere ghar wo mae bistare
bhed is mein bhi koi us mein bhi koi raaz hai
ishq mein paida nahin hota hai sasura inqalab
husn de jata hai dhoka husn dhoka-baz hai
ab koi din bhi buDhapa Thokaren khilwaega
husn hai chand roza jis pe tum ko naz hai
noch kar mere paron ko kar diya hai DanD-manD
ab na qawwe hai na mujh mein taqat-e-parwaz hai
wasl ki shab chaar-dam chhalle bhi un ke sath hain
yani shoKHi hai shararat hai haya hai naz hai
ghair ki kuchh haisiyat bhi aap ko malum hai
KHud hai chaukidar baada us ka barfandaz hai
meri fariyaad-o-fughan sun kar harami ne kaha
ye usi ullu-ke-paTThe 'bum' ki aawaz hai
(1054) Peoples Rate This