Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati

agar dushman ki thoDi si marammat aur ho jati

to phir ullu ke paThThe ko nasihat aur ho jati

shab-e-wada main un ki kam-sini se Dar gaya warna

zara si baat par nazil musibat aur ho jati

yahi achchha hua tu ne jo zulfon ko munDa Dala

nahin to tere diwanon ki haalat aur ho jati

agar tum nim-uryan hashr ke maidan mein aa jate

qayamat mein phir ek barpa qayamat aur ho jati

sharab-e-nab ki karta mazammat phir na bhule se

jo mai-KHane mein waiz ki marammat aur ho jati

na un ki kam-sini se main saza pata adalat se

jo un ke aashnaon ki shahadat aur ho jati

laga karti hazaron aashiqon ko be-KHata phansi

hasinon ki agar ghar ki adalat aur ho jati

KHata peshab dushman ka hua ghar un ke piTne se

maza jab tha ki sale ko ijabat aur ho jati

hamein chaaron taraf se gher rakkha hai girani ne

mere allah ye duniya se ghaarat aur ho jati

agar bosa diya hai wasl ka wada bhi kar lije

inayat ki to thoDi si inayat aur ho jati

agar dil ko bachata main na zulfon ke aDange se

to duniya bhar se lambi sham-e-furqat aur ho jati

dua hai 'bum' ki yarab ye cotton-mils ki babat

taraqqi aur hoti zeb-o-zinat aur ho jati

(1242) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati In English By Famous Poet Boom Merathi. Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati is written by Boom Merathi. Read famous Poem Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati for youth and Student by Boom Merathi. Free Download Agar Dushman Ki ThoDi Si Marammat Aur Ho Jati in PDF.