Faraham Jis Qadar Ishrat Ke Saman Hote Jate Hain
faraham jis qadar ishrat ke saman hote jate hain
sukun-e-ruh se mahrum insan hote jate hain
kabhi tarz-e-taghaful the yahi andaz-e-mahbubi
jo ab sarf-e-nawazish-ha-e-pinhan hote jate hain
shabab-o-husn-e-roz-afzun ka un ke kuchh ye aalam hai
ki hum sharminda-e-shauq-e-farawan hote jate hain
abhi jam-e-mai-e-rangin lab-e-lalin tak aaya hai
magar aankhon mein maiKHane se ghaltan hote jate hain
faza-e-KHuld par jaise ghaTaen chhai jati hon
ruKH-e-gul-rang par gesu pareshan hote jate hain
nafas ki aamad-o-shud ka ye aalam hai judai mein
ki nashtar jaise paiwast-e-rag-e-jaan hote jate hain
taalallah faiz-e-baghban 'bismil' taalallah
KHas-o-KHashak-e-gulshan gul-ba-daman hote jate hain
(1048) Peoples Rate This