Sahar Hui To KHayalon Ne Mujhko Gher Liya
sahar hui to KHayalon ne mujh ko gher liya
jab aai shab tere KHwabon ne mujh ko gher liya
mere labon pe abhi nam tha bahaaron ka
hujum-e-shauq mein KHaron ne mujh ko gher liya
kabhi junun ke zamane kabhi firaq-ruten
kahan kahan teri yaadon ne mujh ko gher liya
nikal ke aa to gaya gahre paniyon se magar
kai tarah ke sarabon ne mujh ko gher liya
ye ji mein tha ki nikal jaun tujh se dur kahin
ki tere dhyan ki banhon ne mujh ko gher liya
jab aaya id ka din ghar mein bebasi ki tarah
to mere phul se bachchon ne mujh ko gher liya
hujum-e-ranj se kaise nikal sake 'bismil'
teri talash ke rishton ne mujh ko gher liya
(1197) Peoples Rate This