Ye But Phir Ab Ke Bahut Sar UTha Ke BaiThe Hain
ye but phir ab ke bahut sar uTha ke baiThe hain
KHuda ke bandon ko apna bana ke baiThe hain
hamare samne jab bhi wo aa ke baiThe hain
to muskura ke nigahen chura ke baiThe hain
kaleja ho gaya zaKHmi firaq-e-jaanan mein
hazaron tir-e-sitam dil pe kha ke baiThe hain
tum ek bar to ruKH se naqab sarka do
hazaron talib-e-didar aa ke baiThe hain
ubhar jo aati hai har bar mausam-e-gul mein
ek aisi choT kaleje mein kha ke baiThe hain
ye but-kada hai idhar aaiye zara 'bismil'
buton ki yaad mein bande KHuda ke baiThe hain
pasand aaegi ab kis ki shakl 'bismil' ko
nazar mein aap jo us ki sama ke baiThe hain
(1093) Peoples Rate This