Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3e1a0786dedb290c1865969e558f2ed8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Na Apne Zabt Ko Ruswa Karo Sata Ke Mujhe - Bismil Azimabadi Poetry In English - Darsaal

Na Apne Zabt Ko Ruswa Karo Sata Ke Mujhe

na apne zabt ko ruswa karo sata ke mujhe

KHuda ke waste dekho na muskura ke mujhe

siwae dagh mila kya chaman mein aa ke mujhe

qafas nasib hua aashiyan bana ke mujhe

adab hai main jo jhukae hue hun aankh apni

ghazab hai tum jo na dekho nazar uTha ke mujhe

ilahi kuchh to ho aasan naza ki mushkil

dam-e-aKHir to taskin de wo aa ke mujhe

KHuda ki shan hai main jin ko dost rakhta tha

wo dekhte bhi nahin ab nazar uTha ke mujhe

meri qasam hai tumhein rahrawan-e-mulk-e-adam

KHuda ke waste tum bhulna na ja ke mujhe

hamara kaun Thikana hai hum to 'bismil' hain

na apne aap ko ruswa karo sata ke mujhe

(1530) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Apne Zabt Ko Ruswa Karo Sata Ke Mujhe In English By Famous Poet Bismil Azimabadi. Na Apne Zabt Ko Ruswa Karo Sata Ke Mujhe is written by Bismil Azimabadi. Read famous Poem Na Apne Zabt Ko Ruswa Karo Sata Ke Mujhe for youth and Student by Bismil Azimabadi. Free Download Na Apne Zabt Ko Ruswa Karo Sata Ke Mujhe in PDF.