KHizan Ke Jaane Se Ho Ya Bahaar Aane Se
KHizan ke jaane se ho ya bahaar aane se
chaman mein phul khilenge kisi bahane se
wo dekhta rahe muD muD ke su-e-dar kab tak
jo karwaTen bhi badalta nahin Thikane se
ugal na sang-e-malamat KHuda se Dar naseh
milega kya tujhe shishon ke TuT jaane se
zamana aap ka hai aur aap us ke hain
laDai mol len hum muft kyun zamane se
KHuda ka shukr sawere hi aa gaya qasid
main bach gaya shab-e-furqat ke naz uThane se
main kuchh kahun na kahun kah rahi hai KHak-e-jabin
ki is jabin ko hai nisbat ek aastane se
qayamat aae qayamat se main nahin Darta
uTha to de koi parda kisi bahane se
KHabar bhi hai tujhe aaina dekhne wale
kahan gaya hai dupaTTa sarak ke shane se
ye zindagi bhi koi zindagi hui 'bismil'
na ro sake na kabhi hans sake Thikane se
(900) Peoples Rate This