Ab Dam-ba-KHud Hain Nabz Ki Raftar Dekh Kar
ab dam-ba-KHud hain nabz ki raftar dekh kar
tum hans rahe ho haalat-e-bimar dekh kar
sauda wo kya karega KHaridar dekh kar
ghabra gaya jo garmi-e-bazar dekh kar
allah tere hath hai ab aabru-e-shauq
dam ghuT raha hai waqt ki raftar dekh kar
deta kahan hai waqt paDe par koi bhi sath
hum ko musibaton mein giraftar dekh kar
aate hain mai-kade ki taraf se janab-e-shaiKH
sargoshiyan hain laghzish-e-raftar dekh kar
ghairon ne ghair jaan ke hum ko uTha diya
baiThe jahan bhi saya-e-diwar dekh kar
aate hain bazm-e-yaran mein pahchan hi gaya
mai-KHwar ki nigah ko mai-KHwar dekh kar
is madh-bhari nigah ki allah-re kashish
sau bar dekhna paDa ek bar dekh kar
tum rahnuma-e-waqt sahi phir bhi chand gam
chalna paDega waqt ki raftar dekh kar
waqt-e-sahar guzar gai kya kiya na puchhiye
gardan mein un ki sukhe hue haar dekh kar
talchhaT mila ke deta hai rindon ko saqiya
saghar paTak na de koi hoshyar dekh kar
'bismil' ko kya hai chadar-e-rahmat rasul ki
saye mein le hi legi gunahgar dekh kar
(1239) Peoples Rate This