Aazar-o-jafa-e-paiham Se Ulfat Mein Jinhen Aaram Nahin
aazar-o-jafa-e-paiham se ulfat mein jinhen aaram nahin
wo jite hain lekin un ko marne ke siwa kuchh kaam nahin
aflak ki gardish se dam-bhar duniya mein hamein aaram nahin
wo din nahin wo ab raat nahin wo subh nahin wo sham nahin
kyun hum ne mohabbat ki un se diqqat mein phanse zahmat mein phanse
aaghaz hi mein dil mein kahta tha achchha us ka anjam nahin
is ka bhi alam us ka bhi qalaq ye gham bhi hamein wo gham bhi hamein
jine ko ghanimat samjhe the jine mein magar aaram nahin
gulshan mein KHizan ab aa pahunchi mai-KHane mein ji kyun kar bahle
wo rang nahin wo lutf nahin wo daur nahin wo jam nahin
har sans se aati hai ye sada marne ke liye tayyar raho
jine se nahin kuchh dilchaspi jine se hamein kuchh kaam nahin
qatil ko ye samjha de koi nale se fughan se shewan se
bismil na karun main ai 'bismil' to bismil mera nam nahin
(924) Peoples Rate This