Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f462f9885ee754e2921ae8568d449499, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kitna Ajib Shab Ka Ye Manzar Laga Mujhe - Bismil Aghai Poetry In English - Darsaal

Kitna Ajib Shab Ka Ye Manzar Laga Mujhe

kitna ajib shab ka ye manzar laga mujhe

taron ki saf mein chand suKHnawar laga mujhe

socha to ham-safar mujhe tanhaiyan milin

dekha to aasman bhi sar par laga mujhe

tujh se bichhaD ke ye meri aankhon ko kya hua

jis par nazar paDi tera paikar laga mujhe

ye kis ne aa ke shahr ka naqsha badal diya

dekha hai jis kisi ko wo be-ghar laga mujhe

simTa tera KHayal to dil mein sama gaya

phaila to is qadar ki samundar laga mujhe

'bismil' wo meri jaan ka dushman to tha magar

kyun puri kaenat se behtar laga mujhe

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitna Ajib Shab Ka Ye Manzar Laga Mujhe In English By Famous Poet Bismil Aghai. Kitna Ajib Shab Ka Ye Manzar Laga Mujhe is written by Bismil Aghai. Read famous Poem Kitna Ajib Shab Ka Ye Manzar Laga Mujhe for youth and Student by Bismil Aghai. Free Download Kitna Ajib Shab Ka Ye Manzar Laga Mujhe in PDF.