Yaum-e-barq
teri raushan-dimaghi par hain nazan aasman wale
teri nazuk-KHayali par hain hairan gulsitan wale
teri azmat ke qail dil se hain sare-jahan wale
suKHan-danon ki mahfil mein tu sham-e-husn-e-mahfil hai
sitaron mein ziya-afroz misl-e-mah-e-kaamil hai
samajhte hain tujhe salar apna karwan wale
kahin alfaz mein husn-e-haqiqi ki hain taswiren
kahin ashaar mein ramz-e-mohabbat ki hain tafsiren
tere diwan ko jam-e-jam samajhte hain jahan wale
kahin aansu kahin naghme kahin jalwe jawani ke
tere ashaar aaine hain haal-e-zindagani ke
ki jin mein apni surat dekh lete hain jahan wale
kahin hubb-e-watan ki aag lafzon mein bhari dekhi
kahin manzar-nigari ki hasin jadugari dekhi
wo tashbihen hain jin par naz karte hain zaban wale
jahan tu ne zara barq-e-jamal-e-sher chamkai
wahin ek zindagi ki lahr si dauDi nazar aai
teri shoala-nawai par hain chup shabnam-sitan wale
tere ashaar ne rang-e-qubul-e-am paya hai
jahan mein tu ne apni sheriyat se nam paya hai
hamesha yaad rakkhenge tujhe hindostan wale
(2107) Peoples Rate This