Mohabbat Naghma Bhi Hai Saz Bhi Hai
mohabbat naghma bhi hai saz bhi hai
shikast-e-saz ki aawaz bhi hai
hai niyyat hi mein dozaKH aur jannat
yahi dam-soz bhi dam-saz bhi hai
na toDen mera saz-e-dil na toDen
ki is mein aap ki aawaz bhi hai
mohabbat yun to hai ek lafz-e-sada
jo samjho to fasana-saz bhi hai
qafas parwaz-e-dushman to hai lekin
qafas ek dawat-e-parwaz bhi hai
yahi gul hai jo taswir-e-KHamoshi
shikast-e-ghuncha ki aawaz bhi hai
nahin zanjir-e-pa hi ye tasawwur
jo bandh jae par-e-parwaz bhi hai
main tera raaz kholun bhi to kyun kar
ki tera raaz mera raaz bhi hai
ye duniya hai jo KHwab-e-naz 'rana'
yahi tabir-e-KHwab-e-naz bhi hai
(1126) Peoples Rate This