KHayal Ko Zau Nazar Ko Tabish Nafas Ko RaKHshandagi Milegi
KHayal ko zau nazar ko tabish nafas ko raKHshandagi milegi
bhaDak uTha soz-e-gham jo dil mein to har kahin raushni milegi
KHalish ki tah mein sukun milega alam ki tah mein KHushi milegi
baghaur dekho to maut mein bhi tumhein nai zindagi milegi
maqam-e-insan maqam-e-yazdan mein fasla hai bas ek qadam ka
jahan malegi KHudi ki sarhad wahin had-e-be-KHudi milegi
ye zauq-e-sajda shikast-KHurda tabiaton ki hai KHud-farebi
bashar ki taslim ki tahon mein bashar ki kam-himmati milegi
nigah jitni bulandi hogi ye utni hi arjumand hogi
ba-qadr-e-qurb-e-falak kiran mein hararat-o-raushni milegi
hai KHud-shanasi jahan-shanasi jahan-shanasi KHuda-shanasi
mili jo tujh ko KHudi ki daulat to daulat-e-sarmadi milegi
agar hai teri nigah baaligh agar hai tera shuur puKHta
to jehl ki zulmaton hi se tujh ko mashal-e-agahi malegi
gham-o-musarrat milenge baham to zindagi bhi chamak uThegi
ye ru hai manfi ye ru hai musbat milegi ye raushni milegi
rah-e-talab ke safar mein 'rana' sukun hai KHwab-o-KHayal yaksar
qadam qadam Thokaren lagengi nafas nafas barhami milegi
(1033) Peoples Rate This