Aarzuen Nazr-e-dauran Nazr-e-jaanan Ho Gain
aarzuen nazr-e-dauran nazr-e-jaanan ho gain
kya bahaaren thin jo do phulon pe qurban ho gain
gham ki shirin talKHiyan jine ka saman ho gain
bijliyan KHun-e-rag-e-jaan-e-gulistan ho gain
ruh-e-gham ruh-e-tarab ruh-e-ajal ruh-e-hayat
jab ye baham mil gain taqdir-e-insan ho gain
yaad hai un ki ki ek muaj-e-jamal-o-rang-o-bu
shamen kaliyon ki si us dil mein farozan ho gain
aansuon ke zabt se betabi-e-dil baDh gai
is tarah simTin ye bunden ek tufan ho gain
ek wo hain jin ke virane bane hain bastiyan
ek hum hain bastiyan bhi jin ki viran ho gain
un ka jalwa dekhte hi uD gae hosh-o-hawas
kashtiyan sahil se lag kar nazr-e-tufan ho gain
hadson ne kar diya paida KHayal-e-hifz-e-jaan
bijliyan hi wajh-e-tanzim-e-gulistan ho gain
chhaT gain 'rana' KHunuk aahon se gham ki zulmaten
badliyan ThanDi hawaon se pareshan ho gain
(1053) Peoples Rate This