Rone Walon Ne Tere Gham Ko Saraha Hi Nahin

rone walon ne tere gham ko saraha hi nahin

raat KHush rah ke bhi kaT sakti hai socha hi nahin

na kahin abr ka ghunghaT na hawa ki pazeb

din kai din se tere rang mein dekha hi nahin

tu bhi in ujDe dayaron mein hai meri manind

aisa lagta hai ki tu ne mujhe dekha hi nahin

tujh se shikwa bhi agar ho to koi baat bhi ho

aaina chhoD ke mujh ko koi samjha hi nahin

ek ye patthar hai ki Thokar se bahut dur gaya

ek ye dil hai ki sine se nikalta hi nahin

yun to is rah mein lahke kai aanchal lekin

dil pe wo rang chaDha hai ki utarta hi nahin

baiTh rahiye bhi to kya rah-guzar-e-shab mein

ab ye rasta teri aankhon se guzarta hi nahin

(1828) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rone Walon Ne Tere Gham Ko Saraha Hi Nahin In English By Famous Poet Bimal Krishn Ashk. Rone Walon Ne Tere Gham Ko Saraha Hi Nahin is written by Bimal Krishn Ashk. Read famous Poem Rone Walon Ne Tere Gham Ko Saraha Hi Nahin for youth and Student by Bimal Krishn Ashk. Free Download Rone Walon Ne Tere Gham Ko Saraha Hi Nahin in PDF.