Dukhti Hai Ruh Panw Ko Lachaar Dekh Kar
dukhti hai ruh panw ko lachaar dekh kar
ruk jaenge kahin koi diwar dekh kar
subki na ho kahin taraf-e-yar dekh kar
aankhen uThaiye bhi to dastar dekh kar
niklo jo ban-sanwar ke to bazar dekh kar
mangen hain mol shakl-e-KHaridar dekh kar
kahna to bas yahi hai ki chahen hain hum tujhe
ghabraiyo na baat ka bistar dekh kar
sustae hai irada tasahul ke ru-ba-ru
dukhte hain panw saya-e-diwar dekh kar
apnon se munh chhupae phire hai ek aadmi
jeben TaTol ke kabhi bazar dekh kar
marun hun hath-paon bahut 'ashk' KHud ko main
apne hi bazuon mein giraftar dekh kar
(2118) Peoples Rate This