Eada-e-hikayaten
wo din jo guzre hain bholi bisri hikayaten hain
ki doston se na koi shikwa na dushmanon se shikayaten hain
kuchh aisa lagta hai jaise ab tak main rail mein tha
bura bhala jo tha aane jaane ke khel mein tha
shajar shajar thin hiqaraten bhi mohabbaten bhi
shuur-e-gham ke muzahire bhi masarraten bhi
jo muskurae the un ke haalat muKHtalif the
jo gham uThae the un ki raat muKHtalif thi
jo sath chalte the un ki majburiyan bahut thin
kuchh itne majbur the ki apnon se dur the duriyan bahut thin
ye jitna jo kuchh hai jaisa kuchh hai kuchh itna dilchasp hai ki ek din
main us taraf aaunga dobara
agar meri baat mein hua to main KHud ko dohraunga dobara
(1082) Peoples Rate This