Tujh Jaisa Ek Aanchal Chahun Apne Jaisa Daman DhunDun

tujh jaisa ek aanchal chahun apne jaisa daman DhunDun

maile maile shoala dekhun pani aangan aangan DhunDun

ye komal dharti kya mere bhaari dukh ka bojh sahegi

udhar idhar lakhon duniyaen kyun na koi aur aangan DhunDun

aisa bhi kya pyar ki jis se kul duniya pili paD jae

kesar aanchal aanchal dekhun haldi daman daman DhunDun

isi aam ki kokh se ek din mera bhola-pan upja tha

isi aam ki jaDen khod kar ek din apna bachpan DhunDun

tum se kya tum bhes badal kar baiTh raho hansmukh chehron mein

main aankhon mein aansu bhar kar sahra sahra ban ban DhunDun

yaro mere pagal-pan ka sach-much koi ilaj nahin hai

nim nim par koyal chahun kikar kikar jaman DhunDun

man liya dil bas mein nahin hai phir bhi jina to hoga hi

ya ab apna tan bisra dun ya phir aur koi tan DhunDun

(1140) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujh Jaisa Ek Aanchal Chahun Apne Jaisa Daman DhunDun In English By Famous Poet Bimal Krishn Ashk. Tujh Jaisa Ek Aanchal Chahun Apne Jaisa Daman DhunDun is written by Bimal Krishn Ashk. Read famous Poem Tujh Jaisa Ek Aanchal Chahun Apne Jaisa Daman DhunDun for youth and Student by Bimal Krishn Ashk. Free Download Tujh Jaisa Ek Aanchal Chahun Apne Jaisa Daman DhunDun in PDF.