Meri Bhi Man Mera Aks Mat Dikha Mujhko
meri bhi man mera aks mat dikha mujh ko
main ro paDunga mere samne na la mujh ko
main band kamre ki majburiyon mein leTa raha
pukarti phiri bazar mein hawa mujh ko
tu samne hai to aawaz kaun sunta hai
jo ho sake to kahin dur se bula mujh ko
tu aks ban ke mere aaine mein baiTha raha
tamam umar koi dekhta hua mujh ko
waraq waraq yun hi phirta rahun kahan tak main
kitab jaan ke book-shelf par saja mujh ko
KHuda to ab bhi hai wo 'ashk' kya bigaD jata
agar wo aur tariqe se sochta mujh ko
(1082) Peoples Rate This