Kidhar Jaun Kahin Rasta Nahin Hai

kidhar jaun kahin rasta nahin hai

kahan Dubun ki dil dariya nahin hai

idhar baadal kabhi barsa nahin hai

jahan tak shaKH hai patta nahin hai

use chhat par khaDe dekha tha main ne

ki jis ke ghar ka darwaza nahin hai

wahi hai ghonsla chimni ke pichhe

magar chiDiyon ka wo joDa nahin hai

badan ke loch tak aazad hai wo

use tahzib ne bandha nahin hai

tere honTon ko chhu dekhun to kahiyo

mere honTon mein kya aisa nahin hai

badan Dhanpe hue phirta hun yani

hawas ke nam par dhaga nahin hai

sabhi insan farishte ho gae hain

kisi diwar mein saya nahin hai

main is darja muazzaz ho gaya hun

wo mere samne hansta nahin hai

(1180) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kidhar Jaun Kahin Rasta Nahin Hai In English By Famous Poet Bimal Krishn Ashk. Kidhar Jaun Kahin Rasta Nahin Hai is written by Bimal Krishn Ashk. Read famous Poem Kidhar Jaun Kahin Rasta Nahin Hai for youth and Student by Bimal Krishn Ashk. Free Download Kidhar Jaun Kahin Rasta Nahin Hai in PDF.